Saturday, September 17, 2011



Durgapuja 2002

Durgapuja k din uske ghar gaye the hum…kisi tarah pata chal gaya tha k usk papa ghar mai nahi hain…bus pohonch gaye…yaar…wo black suit…haath mai itna sara matching churi…aur itna chatpat kar rahi the k mat pucho…Itni chanchal jaise k koi chota bachcha hai….ohh bata nahi sakta usk haath ,mai itna sari churiyaan dekh kar..ohh..
E Maalikkitna achcah than a..kitna khush tha mai us waqt….Bat bat mai usne kaha k wo koi mela jayegi…usko waha wo merry go round mai baithne ka tha…aur mai sala apna sara program cancel karke apne dost log ko chor k waha 6 pm se 10.30 tak baitha raha..us waqt cycle thi mere pas..par m,ast thaw o intezaar karna....udaas tha par maayuus nahi tha..ek ajjib si khushi v thi andar mai….aur life ka 1st letter v mila tha us din…baithe baithe na jaane kitni baar padh liya tha….

Zindagi ka har baar itna intezaar liya..par aaj…yeh likte hue..bus maut ka intezaar kar raha hu….

No comments:

Post a Comment